Wednesday, March 27, 2013

JANMA KUNDLI AUR DASA PHAL

Janma kundli ke anusar parinam prapt hota hai. Parantu iska adhar kya hota hai ? Yadi kisi ki kundli me sare/adhiktar grah Rajyog karak ho to kya vo vyakti janm se mrityu prayant rajsookh hi bhog karega? Isi tarah kya koi vyakti jisaki kundli me Rajyog na ho to vo Dukh hi bhogega? Uttar hai nahi. Shubh ya Ashubh phal dasa ke anusar hi prapt hota hai.

        Maan liya jaay ki Shukra ki mahadasha aarambh hai aur Shukra Uchch ya Swa rashi me hai! Tok kya phal dega?

         Uttar :- Yadi Shukra 1, 4, 5, 9, 10 Bhav ka swami hai to is dauran sarvottam phal dega ! Aur in sabhi dwara pradarshit baton ka purn rup se uttam phal dega ! Jaise 4tha bhav se Bhumi, Bhavan, Vahan, Vastra, Sansarik sukh, Mata ka sukh, Lokpriyata, Janta ka sukh, Jamin ke under se prapt honewale padrthon se labh, Prasannta aadi ka vichar kiya jata hai ! Atah in sabhi mamalon me sarvottam sukh prapt hoga hi ! Arthat vyakti nirbighnta purwak sara sukh bhogega ! Alp prayas se safalta milegi ! Petrol Pump ya fancy se sambandhit vyapar karake labh prapt karega, naya makan, naya vahan, Jamin ki kharid aadi bhi karega hi ! Labh ka Sadupyog hoga !

           Parantu yadi Shukra 2,3,6,7,8,12 bavon ka swami hai to sthiti dusari rahegi ! Yaha bhi Shukra se shubh fal ki apeksha karana nahi karana chahiye ! Karan yah hai ki 2 aur 7 bhav ka swami markesh hota hai atah mrityu bhay upasthit karega! Uchch aur swagrihi hokar mrityu nahi dega parantu bhari kasht awasy hoga ! Isi tarah 6 bhav ka swami hokar bhog to dega(Vasanatmak) parantu rog, rin, shatru ka bhi samana karana hi parega! Bhale hi rog hone par naami Dr se ilaaz ho ya naami hospital me ho! 12 bhav ka swami hokar sharirik shukh dega bhogo ki kami nahi rahegi parantu badnami bhi hogi, bhari kharcho ke karan dhan nasht bhi hoga! 3 bhav ke swami hone se ahankaar ke karan apano se duri ban jayegi aur mitron se bhi duri ban jayegi! 8 bhav ka swami hone se kisi nikat sambndhi ki mrityu/  vichhoh ka dukh sahan karna parega !

           Atah kundli ke anusar jis gtah ki dasha chal rahi usi grah se sambadhit ratn dharan karna chahiye taki  shubh phal ki vridhi aur ashubh phal me kami ho ! Ratn dharan karne ka yahi tarika hai.Ratn kafi mahange hai (kuchh ko chhorkar) auski jagah vaidik upchar karana chahiye !


2 comments:

  1. Sir g namaste,meri d.o.b.23/11/1980,time 15:45,place:kanpur nagar uttar pradesh,mere bhavishya k bare men jankari dene ki kripa kare,abhi mai primary teacher hu,meri wife bhi teacher hai ,kya future me kuch tarakki hogi kya koi dusri naukri milegi,kaun da upay karu ki jeevan sugamta se chale

    ReplyDelete
  2. Pandit ji pranam.mera naam tripti mishra hai. Mera janm 23 Jan.1980 ko hua hai. Kripya mere Ku Dali me bare me bataye.mai bahut pareshan rahti hun.

    ReplyDelete